Friday 30 December 2016

Us Roz


Us Roz 
Kahani aur kahanikaar mile
Hasi thahaake
Fizul ki baatein
Beparvaah yuhin karte rahe

Kahani ko badi jaldi thi
Kyuki kahani kahaan rukti hai?
Yuhin firti rehti hai
Dil yahaan lagaati hai 
Sej wahaan sajaati hai
Khayaal mein aaye toh zaroori nahi
Kaagaz par utar hi aati hai

Kahanikaar kisko arzi de?
Waqt bada kambakht tha
Aur khuda... khud pop corn lekar baitha tha
Ki kya khoob nazara hai teri zindagi!
Ye manzar roz kahan milte hain?
Behaal yun malaal na kar
Har til ka taad na kar
Ya taraane hi bana kuch 
Par intezaar na kar

Toh kabhi machalta kabhi alsaata
Kahaanikaar aage badh jaata hai
Kahaani yuhin... fir kahin 
Purzor bulaati rehti hai
Kai dafa...
Kisi bhi jagah...

Hasti, usko 'hello' kehti hai
Jab woh 'haaye' karta toh koi na hota
Fir afsos jatata

Uff fir chali aai tum 
Chaahti kya ho tum?
Dikhti nahi ki zaalim
Dukhti rag ban jaati ho tum

Toh ab waapas na ana 
Aur fir ghabrana
Ki is baar rok loonga!
Kasam se jaane na doonga
Kahaani sharmai,
Aankhein michi,
Paas pohchi
Haule se poochi
"Toh kyu nahi rokte kabhi?
Meri kyu nahi sunte kabhi?
Ki main kahan jana chahti hun 
Aur tum ho ki yahan 'yatharth' mein doobe baithe ho
Dhatt!... ki ab,
Jab samjho tab
Khud bulana
Tab tak khairiyat rakhna!"

Toh kisi roz fir milenge
Zameen pe nahi
Toh rupahle parde pe sahi
Farzi ki  
Magar marzi ki 
Duniya zoroor banaenge!

Tum dekhna meri kahani...
Jis duniya ne tumko roka tha
Wahi duniya tumko dekhegi
Hasegi shayad roegi...
Naraaz hogi shayad
Najane kya sochegi
Shayad kahegi
Ye kya bana diya yaar??
Par dekhegi zaroor
Jaise khuda baitha tha 
Bilkul waise hi...
Pop corn lekar

Toh fir milenge kyuki
Us roz jab mile the...
Kuch reh gaya tha baaki.

No comments:

Post a Comment